14/08/2024
**"Assalamu Alaikum! Aaj ka din humein un laakhoon shaheedon aur ghazioun ki qurbaniyon ki yaad dilata hai, jin ki wajah se hum aaj azaad fizaon mein sans le rahe hain. Pakistan ka matlab sirf ek khaak ka tukra nahi, balke yeh ek soch hai, ek nazariya hai, jise hum sab ne mil kar agay barhana hai. Is Independence Day par, aaiye mil kar yeh ahad karein ke hum apni qudrat ko mehfooz rakhenge, apne mulk ke liye mehnat kareinge, aur insaf aur imaan se kaam le kar apne watan ko duniya mein aik behtareen misal banaenge. Pakistan Zindabad, Quaid-e-Azam Paindabad!"**🇵🇰🇵🇰🇵🇰